Agam – Raghunandan ft. Narci & Siddharth | Latest Ram Bhajan
Music | Vocals – Agam
(Facebook ~ https://www.facebook.com/agam.onLogic
Instagram ~ https://www.instagram.com/agam_onlogic/
Twitter – https://www.twitter.com/agam_onlogic)
Lyrics – Dhananjay Tiwari
Rap Vocals –
Narci @narcithoughts (https://www.instagram.com/narci_thoughts/)
Siddharth @siddharthsharmadas (https://www.instagram.com/the_5id/)
Audio : Playbeatz Ent. (+91-9457777222)
Video – Alok (https://www.instagram.com/x.sacred.guy.x/)
Thumbnail – ikillgraphix (https://www.instagram.com/ikillgraphix/)
Lyrics –
Raghunandan, Deendayal Ho Tum,
Shri Ram Tumhari Jay Hove,
Raja Ram Tumhari Jay Hove,
Dinanath Tumhari Jay Hove,
Raghunath Tumhari Jay Hove,
Siya Ram Tumhari Jay Hove,
Raghunandan, Deendayal Ho Tum,
Shri Ram Tumhari Jay Hove,
Raja Ram Tumhari Jay Hove.
Narci’s Verse-
Prabhu Tum Hi Jano Mere Paap Aur Punya,
Prabhu Tere Bina Tera Daas Pura Shunya,
Pairon Ko Laga Do Meri Paapi Is Kaya Se,
Hriday Bana Shila Meri Jaise Ahilya,
Sanson Ka Ye Setu Bas Tere Liye Tika Hai,
Ram Siya Bina Mohe Kuch Nahi Dikha Hai,
Baitha Ban Shabri Main Ram Par Par Suno,
Ber Karoon Joothe Kaise, Paapi Meri Jihva Hai,
Pane Ko Na Prabhu, Hun zamaane Ki Main Daur Mein,
Jeeta Hoon Main Treta Ye Kala Yug Chhor Ke,
Jaise Jatayu Ke Mile Mujhe Maut,
Sar Mera Pada Ho Aapki Hi God Pe,
Pairon Ko Haan Dho Ke Paani Mujhko Bhi Peena Hai,
Mana Bajrangi Sa Cheera Nahi Seena Hai,
Phir Bhi Ye Daas Kare Itni Hi Maang,
Chaudah Saalon Ka Wo Samay Mujhko Bhi Jeena Hai.
Ik Mukut Tumhare Sir Sohe, Kano Mein Kundal Man Mohe,
Gun Shil Tumhare Jag Jane, Raghunath Tumhari Jay Hove,
Raghunandan, Deendayal Ho Tum,
Shri Ram Tumhari Jay Hove,
Raja Ram Tumhari Jay Hove.
Siddharth’s Verse
Kanak ke jaisi muskaan ko dhare hue
Kirtano me dhiyan naam pe kare hue
Bal, buddhi aur chetna se dhiyan kiya roop ka
Toh saare dukh-dard ye pare hue
Dukh-Sukh ko samaan maan ke
Siyã-Rãm ko buddhi ka kamaan maan ke
Ek teer prem bhakti ka chala ke dhekna hai
Aise Rãm na milinge jo baitha aaram ke…
Sahare
Charan dhool pattharo ko taare
Saans bhi ye chale Rãm-naam ke sahare
Lok shrishtiyo me tum, kano ki sankhiya me tum
Jeev buddhi ke pare anant roop hain tihare
Bhaje vrajaika-maṇḍanaḿ samasta-pāpa-khaṇḍanaḿ
sva-bhakta-citta-rañjanaḿ
Hai roop mere Rãm ka
dṛg-anta-kranta-bhańginaḿ sadā-sadāli-sańginaḿ
dine dine navaḿ navaḿ
Bhaju mai bhajan aapka
Kar dhanush sada aur shar dhare, ban kaal sada dushtan taare
Muni santan ke rakhware ho, raghunath tumhari jay hove
Raghunandan deenadayal ho tum
Shri Ram tumhari jay hove
Raja Ram tumhari jay hove
Raghunandan deenadayal ho tum
Shri Ram tumhari jay hove
Raja Ram tumhari jay hove
shri ram song